Blogger ko Email ko leke kai problem aati hai jiske karan vo apne blog ko dusre Email par transfer karna chata hai ya uski jarurat ban jati hai.
Is tutorial me hum janege ki kaise apne blog ko transfer kare dusre Email Id pe bas aap step by step follow karte jaye.
Step 1.
Apne blog par jaye or setting par click kare.
Step 2.
Basic setting me permission section me add authors per click karke open hone wale box me Email dale.
Step 3.
Box me email dalne ke baad invite authors per click karde. Ab blog se Logout kare.
Step 4.
Ab us email id ko open kare jis per authors invitation bheja hai. Inbox me aapko ek mail milega jo blogger ke taraf se aaya hoga usko open karke ACCEPT INVITATION per click kare.
Step 5.
Accept invitation per click karte hi ek page open hoga jo aapko singin karne ko khega blog me uspe click karke singin karle.
Step 6.
Singin hone ke baad aap dekh sakte hai ki aap blog ke authors ho chuke hai. Lekin abhi aap admin nhi hai yani abhi tak aapka blog poori tarah se transfer nhi hua hai.
Step 7.
Ab aapko dobara apne blog me apni admin id se login karna hai or aapko dobara settings > besic > permision me jana hai
Step 8.
waha apko do email id milengi ek blog admin ki hogi or doosri blog author ki.
Step 9.
Ab aapko author email id ki side me author ke Botton per click karna hai. Or admin ke option per click karke admin set karna hai.
Step 10.
Ab aap dekhnge ki dono email id ke side me admin dikh raha hai ab aapko us email ke close mark per click karna jisko aap remove karna chahte hai.
ab aapka blog poori tarah se transfer ho gaya hai.
Ye jankari aapko kaise lagi ye comment me jarur bataye sathi koi problem aaye to bhi hume comment kaR ke puch sakte HAI