Aajke zamane me Mobile Phone har age ke log us karte hai, jisme Android phone ke users ki ginti bhut jayada hai, Android phone use karne wale har insaan ko ye pata hota hi hai ki uska mobile phone garam hota hai or usko sawal bhi padta hai ki kyu Android phone garam hota hai ?
Is sawal ka jab mai aapko bataunga aakhir kyu hota hai Android phone garam or kaise hum apne Android phone ko garam hone se bacha sakte hai.
1. Running app :
Mobile ke background me bhut se apps chalte rahete hai joki processor or ram ko use karte hai jisse Android mobile phone garam ho jate hai. Is liye mobile garam hone par apne mobile phone ko check jarur kare ki koi apps background me ran ( chalu ) to nhi kar rahi hai.
Kaise check kare :
Step 1. apne mobile ke setting me jakar app ( application ) par click kare.
Step 2. Fir Running app ko select kare. jaha par aap sabhi background Raning aapko dekh sakte hai or usko band kar sakte hai.
Step 3. app band karne ke liye app icon par click kare.
Step 4. app icon par click karne ke baad Force Stop par click kare.
Ye ho gayi aapke mobile phone se background aaps chalna band.
2. Virus :
Kai baar virus se mobile ke function sahi se kaam nhi karte. Isse bhi mobile garam ho jata hai isse bachav ke liye aap Android phone ke security tips ko jane or mobile me ek acha antivirus ko use kare.
3. App :
Gps or Google map ko use karne se mobile jada garam ho jata hai. Ager majboori me in app ko use bhi karna pade to usko baad me offline kar le.
4. Internal memory :
kai baar mobile ki internal memory bhar jane par bhi mobile garam hone lagta hai. internal memory ko hamesh khali rakhe ya mobile data backup computer par karle taki smartphone ki memory khali ho sake.
5. Charger :
Charging ke waqt aapka phone garam hota hai to uske liye dusra charger or power socket ka use karke dekhe. check karle charging pin ko mobile se ache se connect hai ki nhi. ager ab bhi problem solve nhi hoti hai to aap battery badal de. kai baar battery purani hone se bhi aise problem aati hai.
6. Software Update :
kai baar purane software ki vajha se mobile garam hota hai. Is liye apne smartphone ka software update kar le.
7. App overload :
Ager mobile pade pade hi garam ho raha hai to aisa overload se ho sakta hai. Iske liye setting me jakar battery ko check kare ki konsi application jayada battery ka use kar rahi hai. Or usko off karde.
8. Compress data :
Mobile browser setting me jakar compress data ko activ karne se data kam kharch hoga or mobile garam bhi kam hoga.
9. Battery badle :
Battery purabi ho to mobile garam hota hai. Is liye mobile battery badal le.
Is trha se app apne mobile phone ko garam hone se BACHA SAKTA HAI
Next
« Prev Post
« Prev Post
Previous
Next Post »
Next Post »
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments
Click here for commentsMera phone bahut Garam ho raha hai
ReplyConversionConversion EmoticonEmoticon